Teri Baho Me Simatne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Lipatne Ki Chahat Hai,
Khuda Ko Ek Nazar Dekhne ke Baad,
Tujh Par Mar Mitne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Guzara Har Lamha,
Apne Har Pal Tere Sath Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai,
Tum Pyar Bhari Ek Nazar Daalo Mujh Par,
In Aankho Ke Sagar Me Doobne Ki Chahat Hai
Na Muskurane Ko Ji Chahta Hai,
Na Aansu Bahane Ko Ji Chahta Hai,
Tumhari Yaad Mein Aur Kya Kahe,
Bas Tumhare Paas Aane Ko Ji Chahata Hai
Dard Jub Tera Paas Hota Hai
Ashk Palkon Pe Yu Machalte Hai
Jaise Barkha Se Bheenge Jangal Mein
Kaafile Jugnuo Ke Chalte Hai
Meri Mulakat Ko Chahe Musibat Kehna
Apni Nazar Ko Mere Liye Nafrat Kehna
Par Akele Me Jab Ansoo Bhari Aankhe
Meri Yaad Dilaye To Jaan Use Meri Mohabbat Kehna
Aankho Me Samaa Jao Is Dil Me Raha Karna
Taaron Me Hasa Karna Phoolon Me Khila Karna
Jabse Tumhe Dekha Hai Jabse Tumhe Paya Hai
Kuch Hosh Nahi Mujhko Ek Nasha Sa Chaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho Aankhon Se Kaha Karna
Dil Ke Aaine Khaney Ki Adhoori Tasveer
Taqdeer Ki Kitaab Ki Ki Woh Adhoori Tehreer
Kisi Dil Ki Baasti Mein Ek Adhoori Jagheer
Kismat Ke Haathon Par Ek Adhoori Lakeer
Lamhe judai ke bekarar kerte hai,
Haalat mere mujhe laachar karte hai,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki aapse pyaar karte hai
Kabhee Tum Miloo Kabhee Hum
Mulakato Kaa Yeh Silsila Yuhi Chaltaa Rahe
Yuhi Muskurate Raho Tum
Aur Ye Hasin Pal Ka Safar Yuhi Chalta Rahe
Shaam Ho Tandi Hawa Chale
Tumhari Kushbu Hum Yuhi Mehsus Karte Rahe
Raat Ho Chandini Ka Intezaar Na Rahe
Subah Ho To Roshni Ka Nazar Na Rahe
Tum Ho Sirf Tum
Tumhare Siva Humhe Kisi Ki Etbaar Hi Na Rahe
Kitna Bhi Chaho, Na Bhol Paoge
Hum Se Jitna Dur Jao Nazdik Paoge
Humein Mita Sakte Ho To Mita Do
Yaadein Meri, Magar…
Kya Sapno Se Juda Kar Paoge Humein
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurban yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari…