Wo Karte Hain Baat Ishq Ki
Par Ishq Ke Dard Ka Unhe Ehsaas
Nahi
Ishq Wo Chand Hai Jo Dikhta Hai
Sab Ko
Par
Use Paana Sab Ke Bas Ki Baat Nahi..!
Tum Mujhe Dil Aur Kabi Ankho
Se Pukaaro Sanam
Qki
Ye Honton Ki Taqalluf To Zamane
Ke Liye Hai..!
Maang Ulfat Me Jaan Bhi Humse
Hum Teri Kisi Baat Ko Taala Nahi Karte
Tasdiq Jo Karni Ho To Aajao Kisi Shaam
Hum Tere Bina Ghar Me Ujala Nahi Karte..!
Kehna Bahut Kuch Chahte Hain Unhe
Magar Zubaan Ne Saath Na Diya
Kabi Waqt Ki Khamosi Me Khamosh Rahe Hum
To
Kabi Unki Khamosi Ne Kuch Kehne Na Diya..!
Kasoor Waar Use Kya Samjhe
Galti To Apni Hai
Zndgi La-parwahon Ko Soup Di
Aur
Mohabbat Bhi Magroor Se Kar
Bethe..!
Aapki Chahat Hamari Kahaani Hai
Ye Kahaani Waqt Ki Meharbani Hai
Hamari Maut Ka To Pata Nahi
Par
Ye Zndgi Sirf Aapki Deewani Hai..!
Na Sawaal Banke Mila Karo,
Na Jawaab Banke Mila Karo,
Meri Zindagi Mera Khwaab Hai,
Mujhe Khwaab Banke Mila Karo
Kya Baat Kahun Un Aankho Ki
Jin Aankho Pe Mai Marta Hun
Woh Aankhein Jheel Si Aankhein Hain
Jin Mei Doob K Roz Ubharta Hun
Mujhe Dekhne K Liye Uthti Hain
Milte Hi Nazar Jo Jhukati Hain
Saare Jahan Mei Aisi Aankhein Nahi
Jin Aankho Pe Mai Marta Hun
In Aankho Mei Kabhi Aansu Na Aaye Koi
Kabhi Bhi Gham Na Paas Aaye Koi
Sada Muskuraati Rahein Ye Aankhein
Har Dam Yeh Dua Mai Karta Hun
Kya Baat Hai Un Aankho Ki
Jin Aankho Pe Mai Marta Hun
Apne Dil Ki Baat Unse Keh Nahi Sakte
Bin Kahe Bhi Ji Nahi Sakte
Aie Khuda Aisi Taqdeer Bana Ki Vo Khud Aakar Kahe
Hum Aapke Bina Rah Nahi Sakte
Dil Tootne Per Bhi Jab Koi Shikwa Na Rahe
Chahe Saath Nibhane Ko Koi Mitwa Na Rahe
Zamane Bhar Ke Gum Jab Has Ke Sehte Hai
Chahat Ke Isi Ehsaas Ko To Pyar Kehte Hai