Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe;
Har Gum Se Aap Anjaan Rahen;
Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi;
Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe!
Chaaha Hai Tujhko Tere Taghaful Ke Bawajood;
Aye Zindagi Tu Bhi Yaad Karegi Kabhi Humein!
Aankhon Main Mahfuz Rakhna Sitaaron Ko;
Ab Dur Talak Sirf Raat Hogi;
Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hain;
Kisi Naa Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi!
Waqt Badal Jata Hai Insaan Badal Jate Hai;
Waqt Waqt Pe Rishto Ke Andaaz Badal Jate Hai;
Kabhi Keh Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya;
Din Or Raat Ki Tarh Zindagi Ke Ehsas Badal Jate Hai!
Ittefaqan Jab Mil Jate Ho Rah Mein Tum Kabhi;
Yoon Lagta Hai Kareeb Se Zindagi Jaa Rahi Ho Jaise!
Zindagi Mein Jo Hum;
Chahte Hai Wo Aasani Se Nahi Milta;
Lekin Zindagi Ka Sach Yeh Hai Ki;
Hum Bhi Wohi Chahte Hai, Jo Aasan Nahi Hota!
Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain;
Dil Ki Bataein Tumse Chupi Kab Hain;
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga;
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai!
Phool Bankar Muskarana Zindagi;
Muskarake Gum Bhulana Zindagi;
Jeet Kar Koi Khush Ho To Kya Hua;
Haar Kar Khushiya Manana Bhi Zindagi!
Ush Hasti Se Jab Tak Koi Baat Nahi Hoti;
Din Nahi Nikalta Or Raat Nahi Hoti;
Na Ho Wo Khafa Kabhi Useh Kehna;
Bina Uske Toh Mukamal Meri Zaat Nahi Hoti!
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye;
Zindagi Tu Hi Bata Kaise Jina Chahiye;
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi;
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye!