Khuda Humko Kabhi Aissi Judai Na De;
Unki Yaadon Se Humko Rihai Na De;
Dua Karna Dosto, Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
Jahan Se Mera Yaar Mujhe Dikhai Na De!
Meri Ibaadaton Ko Aise Qubool Ker, Ae Mere Maalik;
Ke Sajde Mein Main Sar Jhukaun;
Toh Mujh Se Judda Har Rishton Ki Zindaagi Sawar Jaye!
Aye Waaiz-e-Naadaan,
Karta Hai Tu Ek Qayaamat Ka Charcha;
Yahaan Roz Nighaayein Milti Hain,
Yahaan Roz Qayamat Hoti Hai!
Takmeel E Zoq E Ishq Ko Ik Umar Chahiye;
Barsoon Teri Nigah Ne Darse Wafa Diya;
Parhati Hai Mujh Par Sare Zamane Ki Ubb Nazar;
Mujh Ko Teri Nigah Nae Tujh Sa Bana Diya!
Hazaar Chehron Main Uski Muhabatain Milien Mujhko;
Par Dil Ki Zid Thi Agr Wo Nahin To Us Jaisa Bhi Nahin.
Jab Bhi Main Tere Sammne Hota Hun;
Na Jane Kyon Aisa Lagta Hain;
Yeh Waqt Yahi Tham Jaye;
Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain!
Yoon Hi Lakeer Khurchte Hain Apni Qismat Ki;
Warna Unki Hatheli Mein Darj Hi Kya Hai;
Kuch Is Liye Bhi Wo Aankhon Ko Band Rakhte Hain;
Ke Khawaab Dekhte Rehne Men Harj Hi Kiya Hai!
Hai Zindagi Mana Dard Bhari;
Phir Bhi Isme Ye Raahat Bhi Hai;
Main Hoon Tera Aur Tu Hai Meri;
Yunhi Rahe Hum, Ye Chahat Bhi Hai!
Kabhi Honthon Se Angaare Barsate Rahe;
Kabki Labh Pe Labh Rakhte Gaye;
Iss Hi Tarahein Humne Zindgaani Bita Di;
Kabhi Takraar aur Kabhi Ikraar Karte Karte!
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!