Mil Bhi Jate Hain To Katara Ke Nikal Jate Hain;
Haye Mausam Ke Tarah Dost Badal Jate Hain;
Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Muhabbat Yaroo;
Thokaren Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jate Hain;
Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda;
Hum Samajhate Rahe Pathar Bhi Pighal Jate Hain;
Umr Bhar Jin Ke Vafaon Pe Bharosa Kije;
Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jate Hain!
Ye Pyar Ka Fanda Bhi Ajeeb Hai
Sab Ka Apna Apna Naseeb Hai
Rehta Hai Jo Nigahon Se Door
Yaadon Me Aksar Wohi Sab Se Kareeb Hai..!
Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten;
Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein;
Phir Mujhe Le Chala Udhar, Dekho;
Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten;
Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum;
Kis Maze Se Itaab Ki Baaten;
Mujh Ko Ruswa Karegi Khub, Ai Dil;
Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten;
Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan;
Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten;
Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein, Ai Zauq;
Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten!
Luft Voh Ishq Men Paaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Ranj Bhii Aise Uthaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Muskuraate Hue Voh Majma-e-Aghyaar Ke Saath;
Aaj Yuun Bazm Men Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Kaaba-o-Dair Men Pathraa Gayii Donon Aankhen;
Aise Jalve Nazar Aaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Dostii Men Terii Dar-Parda Hamaare Dushman;
Is-Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Inhii Qadmon Ne Tumhaare, Inhii Qadmon Kii Qasam;
Khaak Men Itne Milaaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai;
Daagh-e-Vaarafta Ko Ham Aaj Tere Kuuche Se;
Is Tarah Khiinch Ke Laaye Hain Ki Jii Jaantaa Hai!
Chahat Ke Parde Me Nafrat Hai Mumkin
To Nafrat Ke Parde Me Chahat Bhi Hogi
Agar Koi Khafa Hota Hai Aapko Apna Samajh Kar
To
Usko Yakinan Aap Se Mohabbat Bhi Hogi..!
Yu Nazar Se Baat Ki Aur Dil Chura Gaye
Andhero Ke Saaye Me Dharkan Suna Gaye
Hum To Samajhte Thay Ajnabi Aapko
Par
Aap To Hume Apna Bana Gaye..!
Jaan Mujh Ko H Tu Jaan Se Bhi Pyari
Jaan Ke Liye Kar Du Kurban Jingi Saari
Jaan Ke Liye Tod Du Dosti Saari
Ab Jaam Tumse Kya Chhupana Tumhi Ho Jaan Hamari
Dil Ki Kitaab Me Gulaab Unka Tha
Raat Ki Neendon Me Khwab Unka Tha
Kitna Pyar Karte Ho Jab Humne Unse Pucha
To
Mar Jayenge Tumhare Bina Ye Jawab Unka Tha..!
Aapki Yaad Meri Jaan Hai
Shayed Is Haqiqat Se Aap Anjaan Hain
Mujhe Khud Nahi Pata Ki Mera Wajood Kya Hai
Shayed Aapka Pyar Hi Meri Pehchaan Hai..!
Kaanton Ko Chubna Sikhaya Nahi Jata
Phoolon Ko Khilna Sikhaya Nahi Jata
Koi Ban Jata Hai Khud Hi Apna
Kisi Ko Apna Banaya Nahi Jata..!