Chahat Ke Subh o Sham, Muhabbat K Raat Din
Dil Dhoondta He Phir Wohi , Fursat K Raat Din
Wo Ibtada e Ishq … Wo Aaghaz e Shaairi
Wo Dasht e Jaan Me Pehli Musafat K Raat Din
Tez Barish Mein Kbhi Sard Hawaon Me Raha
Ik Tera Zikar Tha Jo Meri Sadaaon Mein Raha
Kitny Logon Se Mery Gehry Marasam Thy Magr
Tera Chehra Hi Faqat Meri Duaon Mein Raha
Ik Talluq Ko Bikarne SE Bachane Ke Liye
Mere Din Raat Guzarte Hain Adaakari Me
Wo Kisi Or Dawa Se Mera Karta He Ilaaj
Mubtalab Hoon Me Kisi Or Hi Beemari Me
Asar Dil Par Kare Shikwa , Shikayat
Ho To Aisi Ho
Galey Lag Kar Koi Roye , Nadamat Ho
To Aisi Ho
Mujhe Kanta Chube Or Us Ki Ankhon
Se Laho Tapke
Talluq Ho To Aisa Ho , Muhabbat Ho
To Aisi Ho..??
Meri Sanson Me Bikhar Jao Toh Acha Ho,
Ban Ke Rooh Mere Jism Mai Utar Jao Toh Acha Ho,
Kisi Raat Teri Gaud Mai Sar Rakh Ke So Jaun,
Fir Us Raat Ki Kabhi Subah Na Ho Toh Acha Ho.
Hansi Aapki Koi Chura Na Paye,
Aapko Kabhi Koi Rula Na Paye,
Khusiyon Ka Deep Aise Jale Aapki
Zindagi Mai,
Ki Koi Tufaan Bhi Use Bhujha Na Paye.
Is Tark-e-Rafaqat Pe Pareshan To
Hon Lekin
Ab Tak Ke Tere Sath Pe Herat Bhi
Bohat Thi
Parne Lagi He Us Pe Zamane Ki
Ab Nazar
Jalne Lage Hain Log … Mere
Intekhab Se
Kahan ….. Kisi Ki Himayat Me Maara Jaon Ga
Me Kam Shanas , Murawat Me Mara Jaon Ga
Me Mara Jaon Ga Pehle ….. Kisi Fasaane Me
Phir Us Ke Baad Haqeqat Me Maara Jaon Ga
Me Warghalaya Hua Lar Raha Hon Apne Khilaaf
Me Apne Shoq e Shahadat Me Mara Jaon Ga
Mujhe Bataya Huwa He …. Meri Chati Hiss Ne
Me Apne Ehad-e-Khilafat Me Maara Jaon Ga
Yahan Kamaan Uthanaa ….. Meri Zarorat He
Wagarna Me Bhi Sharafat Me Mara Jaon Ga
Faragh Mere Liye ……… Moat Ki Alaamat He
Me Apni Pehli Faraghat Me , Maara Jaon Ga
Mera Ye Khoon Mere Dushmano Ke Sir Ho Gaa
Me Doston Ki Haraasat Me , Maara Jaon Ga
Nahen Maron Ga Kisi Jang Me , Ye Socha Liya
Me Ab Ki Baar Muhabbat Me Mara Jaon Ga
Qismat Sabhi K Waqt Ke Hathon Me Rehti He
Is Doar Me Kisi Ka Muqaddar … Nahen Koi
Majboriyon Ne Ghar Se Nikalne Nahen Diya
Dunya Samaj Rahi He , Mera Ghr Nahe Koi
Ab Kya Karen Ge Ham Naye Soraj Ki Roshni
Jab Dekhne Ke Waste , Manzar Nahen Koi
Dil Ho Raha He Dair Se Khamosh Jheel Sa
Kya Doston Ke Hath Me Pathar Nahen Koi