Tere ishq ka ye kitna haseen ehsaas hain,
Lagta hai jaise tu har pal mere paas hain,
Mohabbat teri deewangi ban chuki hai meri,
Aur ab zindagi ki aarzoo sirf tumhare sath hai...
Tujhe Chahte Hain Be-Inteha Par Chahna Nahi Aata;
Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata;
Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar;
Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata!
Tumne Dekha To Humein Pyaar Se Bas Itna Hi Sahi;
Tera Bas Ho Geya Deedar Bas Itna Hi Sahi;
Tera Aashiq Hun Tumne Humein Chaha Na Sahi;
Kabhi Mujhko Pehchaan Liya Bas Itna Hi Sahi!
दिल कि किताब मे गुलाब उनका था,
रात की नींदों मे ख्वाब उनका था,
कितना प्यार करते हो जब हमने पूछा,
मर जायेँगे तुम्हारे बिना यह जवाब उनका था।
L.K
Humain khabar thi dushman ke saare thikaanon ki,
Shareek-e-jurm na hote to mukhbrii* karte..
Aye Dil-e-Be-Qaraar Chup Ho Ja
Jaa Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja
Ab Na Aayen Ge Roothne Wale
Deeda-e-Ashk-Baar Chup Ho Ja
Jaa Chuka Karvaan-e-Laal-O-Gul
Urh Raha Hai Ghubaar Chup Ho Ja
Choot Jaati Hai Phool Se Khushbu
Rooth Jate Hain Yaar Chup Ho Ja
Hum Faqiron Ka Is Zamany Me
Kon Hai Gham-Gusaar Chup Ho Ja
Haadson Ki Na Aankh Khul Jaye
Aye Hasrat-e-Sogvaar Chup Ho Ja
Geet Ki Zarb Se Bhi Aye Saghar
Toot Jate Hain Taar Chup Ho Ja...
Jal Jao Khamoshi Se Kari Dhoop Main Lekin
Apno Se Kabhi Saya-e-Deewar Na Maango...
Kis Qadar Mushkil Hai Ye Zindagi Ka Safar
Khuda Ne Marna Haram Kiya Logon Ne Jeena...
Ghairon Ko Kya Pari K Ruswa Karen Humein
In Saazishon Me Haath Kisi Aashna Ka Tha...
Apne Maazi K Tasawur Se Hirasan Hun Main
Apne Guzry Hue Ayaam Se Nafrat Hai Mujhe
Apni Be-Kaar Tamannaon Pe Sharminda Hun
Apni Be-Soud Umeedon Pe Nadamat Hai Mujhe
Mere Maazi Ko Andheron Main Daba Rehne Do
Mera Maazi Meri Zillat K Siwa Kuch Bhi Nahi
Meri Umeedon Ka Hasil Meri Kavish Ka Sila
Ek Be-Naam Aziyat K Siwa Kuch Bhe Nahi...