Aye Khuda Bas Itna Sa Karam Karde
Jitni Zndgi Mere Sanam Ke Begair
Likhi Hai Wo Kam Karde..!
Tasveer Bana Kar Teri Aasman Pe Tang
Aayi Hu
Aur
Log Puchte Hain Aaj Chand Itna Bedaag
Kaise Hai..!
Bas Yahi Ek Khwab Maine Kayi
Baar Dekha Hai
Ki
Meri Saree Me Hai Uljhi Chabiyan
Tere Ghar Ki..!
Kisi Ko Apna Banane Se Pehle
Kisi Ko Dilme Basane Se Pehle
Socha Nahi Jata
Sochte To Wo Log Hain Jinhe Pyar
Nibhana Nahi Aata..!
Mai Tujhse Aaj Ek Wada Karti Hu
Ki Sare Waaden Nibhaungi
Par Ek Wada Mujhe Tujhse Bhi Lena
Hai
Jo Tu Agar Kabhi Mujhe Dard De Bas
Ye Keh Dena Ki Tu Anjan Tha
Warna Mai Jeete Ji Mar Jaungi..!
Dur Rehne Se Koi Fark Nahi Padta
Baat Dilon Ki Nazdeekiyon Se Hoti
Hai
Dil Ke Rishte To Kismat Se Hi Bante
Hain
Warna Mulaqaat To Hazaron Se Hoti
Hai..!
Mat Tod Us Pyar Ko Jo Teri Zaat Se Hai
Sanam Ye Bata Tu Khafa Meri Kis Baat
Se Hai
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah
Jab Tu Acchi Tarah Waaqif Mere Jazbaat
Se Hai
Mai Kaise Ji Loon Tumse Rooth Kar
Meri To Har Saans Ka Wasta Teri Yaad Se
Hai..!
तुम ही तुम दिखते हो हमें कुछ हुआ तो जरूर है..
ये आइनें की भूल है या निगाहों का कसूर है...!!
Abhi Iraade Majboot Aur Dil
Jawaan Hai
Fir Kabhi Roo Lenge Nakamyaabi
Ke Nagme
Tu Nahi Aur Sahi Aur Nahi Aur Sahi..!
Hum Jeete Har Baazi To Mashoor
Ho Gaye
Teri Hansi Me Hanse To Har Gam
Dur Ho Gaye
Bas Ek Aap Jaise Ki Badaolat
Hum Toote Hue Kaanch Se Kohinoor
Ho Gaye..!