tadpoge tum bhi akele ek din,
yaad aayegi meri toh barsegi ye aankhein ek din,dhoonte phiroge apno ko par saath na dega koi tumhara,
jab sab tumhare apna tumhe tanha kar jayege ek din...
bahut chaha magar unhe bhula na sake, khayalon mein kisi aur ko la na sake,
unhe dekhkar ansu to ponch liye,
magar kisi aur ke liye muskura na sake....
yaaro mere dard dekhkar,
dard ko bhi ab dard hone laga hai,
dard bhi apne gum khud dhone laga hai,
dard hume chod kar khud rone laga hai...
zindagi gujar jayagi ahista ahista,
fir ye waqt dag magayegi ahista ahista,
tum mujhe yaad rakhogi kuch der k liye,
fir yaad bhi mit jayagi ahista ahista...
kaisa tha woh wada, kaise nibha rahe ho,
ek pal ke bhi liye chain nahi AA raha hai,
phir Q dur ho rahe ho,, jab irada hai mujhe bhulana, fir yaado mein Q AA rahe ho...
na jane tum pe itna yakin Q hai? tera khayal bhi itna haseen Q hai?
suna hai pyaar ka dard meetha hota hai,
to aankh se gira yeh aansu namkeen Q hai???...
unki tasveer ko seene se laga lete hai,
is tarah judai ka gum mita lete hai,
kisi tarah zikar ho jaye unka,
toh haas kar bheegi palkein jhuka lete hai...
waqt to aata hai aur phir chala jata hai, iska intezar kabhi mat karna,
jo juda hokar bhi bar bar yaad aaye,
yaaro itna pyaar kisi se mat karna...
Aap to chand ho jise sab yaad karte hai, humari kismat to sitaro jaisi hai,
yaad karna to dur,Log apni khwahish ke liye bhi humare tootne ka intezar karte hai...
Judai aapki rulati rahegi,
yaad aapki aati rahegi,
jab tak jism mein hai jaan, meri
har saans pyaar nibhati rahegi..