khusiyon se naraz hai meri zindagi,
pyar ki mohtaj hai meri zindagi,
hans lete hai logo ko dekhane k liye,
warna dard ki ek kitab hai meri zindagi....
meri khamoshi thi jo seh gayi,
uski yaadein hi ab iss dil me reh gayi,
thi shayad uski bhi koi majboori,
jo meri zindagi ki yeh kahani adhoori reh
gayi.....
hasne ke baad kyun rulati hai duniya,
jane ke baad kyun bhulati hai duniya,
zindagi mein kya kuch kasar baki thi, jo marne ke baad bhi jalati hai duniya
khabwo me jeena jab aadat ban jati hai,
haqiqat ki duniya berang nazar aati hai,
koi intezaar karta hai zindagi k liye,
aur kisi ki zindagi intezar me gujar jati
hai....
hum yaad rahe to thik warna bhula dena,
huyi ho koi khata to saza dena,
hum to hai khali kagaz ki tarah,
likha jaye to thik warna jala dena...
sham ki shama me ek tasveer nazar aati hai,
tab in hoton se ek baat nikal aati hai,
kab hogi unse jee bhar k baatein,
bas ye sochke har sham gujar jati hai.....
har taraf duniya me itni rasme Q hai,
pyar agar zindagi hai to isme kasme Q hai,
hume batate Q nahi koi ye raaz, dil hai apne to kisi or ke bas me Q hai.....
pyaasa ko ek katora pani kaafi hai,
ishq me chaar pal ki zindagani kaafi hai,
dubne ko samundar me jaaye kyun?
unki palkon se tapka woh ek aansu kaafi hai.....
kya batau mere hai haal kaisa,
ek din guzarta hai ek saal jaisa,
tadapta hoon is kadar bewafaayi me uski, yeh tan bante jaa raha hai kankaal
jaisa.......
koi kuch na kahe to pata kya hai,
is bechain khamoshi ki wajah kya hai,
har koi chhod jate hai tanha humein,
koi yeh toh bataye ki humari khata kya hai???......