hasi hasi me kitno ko hasa diya,
hasi hasi me kitne gamo ko chupa liya, haskar gya koi humpar is kadar!
ki umarbhar k liye hume hasna bhula diya...
ek ajnabi se mujhe itna pyar Q hai,
inkar karne par bhi chahat ka ikrar Q hai, usee pana nahi hai meri taqdeer me shayad,
phir bhi har mod pe usika intezar Q
hai.
nakaam si koshis kiya karte hai,
hum hai ki unse pyar kiya karte hai, khuda ne takdir mein tuta tara bhi nahi likha!
aur hum hai ki chand ki aarzu kiya karte
hai....
badi ummid hai unko apna banane ki,
tamanna hai unke ho jane ki,
kya pata jiske hum hona chahte hai.
unhe adat hi nahi kisiko apna banane ki..
kuch faaslo ka janam ho raha hai,
naseeb mera jaag kar bhi so raha hai, kaise keh du toota dil dhadakta nahi,
jabki dil ka har tukda ro raha hai....
tute huye tara ko dekhakar maine kaha aai dil mang le tu bhi fariyad koi,
par dil se awaaz aaye jo khud tuta hai kaise puri karega fariyad koi...
kisi ne hume aashiq kaha,
kisi ne hume deewana kaha,
in aankhon me aansu tab aaye
jab apno ne hume begana kaha....
dil ke zakhm siye hai maine,
dard utha to usko bhi piya hai maine, saanse chalti hai to jina hi padega!
apni tanhayi ko ghut ghut ke piya hai maine...
ansuo ko bahot samjhaya akele mein aaya karo,mahfil mein humara majak na udaya karo,ispar ansu tadap kar bole: itni bhid mein bhi aapko tanha pate hai,
isliye chale aate hai......
kabhi wo hum pe jaan diya karti thi,
jo kehte they wo maan liya karti thi,
aajj anjaan ban kar paas se guzar gayi,
wo jo door se pehchaan liya karti thi....