Khayaalo Me Jeena Chhod Diya Humne..
Ummid Se Haqiqat Ka Rukh Mod Liya Humne..
Unhe Pyar To Akhri Saans Tak Karenge..
Bas
Pyar Hai Ye Kehna Chhod Diya Humne..!
Wo Mohabat bi teri thi
Wo Shararat bi teri thi
Agr kch bewafai thi
to wo bewafae bi teri thi
Hum Chor gaey tera Shahar to wo hidayat bi teri thi.
Aakhir krtey to kis se karte Tmhari Shikayat
Wo Shaher bi tera tha aur wo Addalat bhi teri thi....!
"Deta, raha fareb koi saadgi k sath.
"Itna, bara mazaak meri zindagi k saath.
"Shayad, mili saza es jurm ki mujhay.
"K, tha mujhay pyaar ek ajnabi k saath.
"Wo, zehar bhi dety rhy dawa ki trha,
"itna, bura slook meri sadgi k sath,
"Apna, smjh k jis k liye ham ujr gay,
"usi ne chor dia mera hath bri be'rukhi k sath......
Kabhi Use Bhulana Chaha,
Kabhi Use Manana Chaha,
Main Ney Jab Bhi Chaha Sirf Use Chaha,
Na Jane Kya Baat Thi Mere Aasoo Mein
Jo Usne Mujhe Sirf Aur Sirf Rulana Chah...
yaad karke bataaye ye zaroori to Nahi,
pyar karke jataaye ye zaroori to Nahi.
roNe wala to dil me hi ro leta hai,
aaNkhoN me aaNsu aaye ye zaroori to Nahi.
Golden Words:
"Being Alone Is Really Better Than Laughing With People Who Hates U..
But
Act Like Loving U..!"
Chahaton k mosam ki
Ik ajab kahani hai
Hont hanste rehte hain
"Aankhen bheeg jati hain"
Bheegti nigahon me
Khawab jalte bujhte hain
Dard k is safar me kuch
Morr aise aate hain
Khawab toot jate hain
"saath choot jate hain"
Kirchiyan uthane me
Waqt beet jata hai
aur
''Dard jeet jata hai."
"Tum Kia Jano
zain?"
Kabhi daaman kabhi palkain bhighona KIS ko kehte hen.?
Kisi mazloom se pucho k "RONA"
kis ko kehte hen
Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gi
K duniya bhar k dukh dil main "SAMONA" kis ko kehte hen
Meri aankhien mere chehry ko ik din "GHOAR" se dekho
Magar mat Pochna "WEERAAN" hona kisko kehte hen
Tumhara dil kabhi pighly agar "GHAM" ki hararat se
Tumhe malum hojaye ga "KHONA" kisko kehte hen.
Begano se pyar ki gunjaish nhi hoti,
maut ke bad ki koi khwaish nhi hoti,
shayad koi pyar bhara dil tuta hoga ,
warna bin mosam mai barish nhi hoti
Ghalti Meri thi
Us ne mujhe chaha B nahi mein chahat samjh betha,
Ghalti Meri thi
Us ki pal bhar ki muskarhat ko mein pyar samjh betha,
Ghalti Meri thi
Wo to har baat pe han karti thi, mein hi iqrar samjh betha,
Ghalti Meri thi
Us ne mujhse ziada ehmiyat di apne doston ko,
Mein uski ye ada mazak samjh betha,
Ghalti Meri thi
Us ne kaha b tha koi or hai meri zindgi mein,
Mein hi khud ko uski zindgi samjh betha,
Ghalti Meri thi