Bohot mohobbat karte the woh humari muskurahat se...
Ishliye jate jate ushe bhi sath le gaye....
Honto Ne Muskuraane Se Mana Kar Diya..
Ansuoo Ne Beh Jaane Se Mana Kar Diya..
Ek Bar Jo Dil Toota Is Pyar Me..
Fir
Is Dilne Dil Lagaane Se Mana Kar Diya..!
Tumhari Har Ek Baat Bewafaai Ki Kahaani Hai..
Lekin
Har Ek Saans Meri Zndgi Ki Nishaani Hai..
Tum Aaj Tak Samajh Nahi Paye Mere Pyar Ko..
Mere Ansoo Tumhare Liye Sirf Paani Hai..!
Jisne Thukra Diya
Usko Chaahne Ka Shauk Hai Aaj Bhi Mujhe..
Dosto
Mohabbat Me Barbaad Hone Ke Baad Bhi..
Meri Aadat Nahi Badli..!
Meri khamoshi thi jo seh gayi
uski yaadein hi ab is dil mein reh
gayi ......
Thi shayad uski bhi koi majboori,
jo aaj meri kahani phir adhori reh gayi..!!!!!!
Yu To Khamosh Hi Rehti Hai Ankhe..
Agar Samajh Sako To Bahut Kuch Kehti Hai Ankhe..
Kaun Kehta Hai Ki Rooti Hai Ankhe..
Roota To Dil Hai Magar Kehti Hai Ankhe..!
Tute Huye Paimaane Me Jaam Nahin Aata''
Ishk K Mareez Ko Aaram Nahin Aata''
Dil Torne Wale Kamse Kam Ye To Socha Hota''
K Tuta Hua Dil Kisi K Kaam Nahin Aata...
Sub Se Chupaa K Dard Jo Wo Muskura Diya
Uski Hansi Ney To Aaj Mujh Ko Rulaa Diya
Lehjay Se Uth Rahi Thi Her Eik Dard Ki Dastaan
Chehra Bata Raha Tha K Sab Kuch Ganwaa Diya
Awaz Mein Tyhrao Tha Ankhon Mein Naami
Aur Wo Keh Raha Tha K Main Ney Sab Kuch Bhula Diya
Janney Kiya Uss Ko Logon Say Thein Shikayatein
Tanhaiyon K Desh Mein Khudh Ko Basa Diya
Khudh B Wo Hum Sey Bichar K Adhoora Sa Ho Gaya
Mujh Ko B Itnay Logon Mein Tanha Bana Diya “
Hui kuch pal ke liye mein bhi deewani thi,
wo khwaab tha ya mera beham ya
meri aankhon ki rawaani thi,
yun to mile mujhe sametne wale hazaro,
per jo samet na sake wo
mere ashqon ka paani tha!!!!
Ab na dekhunga teri taraf kabhi piche mudkar.....
Ja ji le apni jindagi has kar.....
Tujhe apni galtiyo ka ehsas na tab tha na ab h aur na hoga umra bhar.....
Dhokha kha ke vapis aayegi tu isi waqt isi jagah aur isi saks ke dar par.....