Jisne Haq Diya Muje Muskurane Ka;
Ushe Shauk Hai Ab Muje Rulane Ka;
Jo Lehron Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par;
Intzar Ha Use Ab Mere Dub Jane Ka!
Hai Kismat Hamari Aasman Mein Chamakte Sitaare Jaisi;
Log Apni Tammana Ke Liye Hamarey Tutne Ka Intezaar Karte Hain!
Mere Dil Ki Khawaishen Reh Reh Kar Poochengee Ek Din Uss Se;
Kis Ko Aabad Kiya Hai Mujh Ko Barbaad Kar Ke!
Yeh Dastoor-e-Zindaagi To Dekho;
Ishq-E-Bukhar Hum Ko Tha;
Lekin Hakim-E-Dawa Kissi Aur Ke Naseeb Mein Thi!
Gam-e-Zindagi Ke Maare Hain;
Har Baazi Jeet Ke Haare Hain;
Yeh Jo Meri Jholi Mein Pathar Hain;
Sab Mere Chahne Walon Ne Marey Hain!
Iss Tarah Loot Liya 'Sheer-E-Tamanna' Ne Hume;
Zindagi Bhi Chheen Li, Aur Jaan Se Maara Bhi Nahi!
Zinda Hai Magar Jinne Ka Iraada Badal Diya;
Waqt Ke Tufaan Ne Har Ek Vaada Badal Diya;
Chal Sake Kissi Ke Sath Iss Kabil Na Rahe Aab;
Thokaron Ne Hame Itna Jayada Badal Diya!
Hum Jawaani Mein Ishq Ko Mazaak Samajhte Rahe;
Iss Kambakht Ishq Ne Meri Zindgaani Ko Mazak Bana Diya!
Chirag Se Na Puchho Baaki Tel Kitna Hai;
Sanso Se Na Pucho Baaki Khel Kitna Hai;
Pucho Us Kafan Mein Lipte Hue Insaan Se;
Zindgi Mein Gum Aur Kafan Mein Sukoon Kitna Hai!
Halaat Ne Tod Diya Mujhe Kache Dhage Ke Tarah;
Warna Mere Wade Bhi Kabhi Zanjeer Hua Karte The!