Aye Mere Khuda..
Patthar Agar Banaya Tha Unka Dil
To Mera Kaanch Ka Na Banaya Hota
Unhe Pighalna Agar Nahi Sikhaya Tha
To
Mujhe Hi Sambhalna Sikhaya Hota..!
Yaad Teri Hume Itni Aayi,
Ke Teri Yaado Ke Saaye Me Jine Laga,
Dost To Dost Meri Halat Ko Dekh,
Khud Khuda Bhi Rone Lagaaaa,
Bewafai Unhone Ki Saja Hume Mili,
Pyaar Humne Kiya,gunah Unse Hue,
Chot Usse Lagi To Dard Mujhe Hua,
Ghav To Uske Bhar Gye,
Par Nissaa Mere Baaki Reh Gye.
Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui
Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui
Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain
Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui
Teri har bat ka aitbar hamne kiya
Tune hi mere dile aashna ka khun kiya
Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
Uss Khuda ko chhod kar “FARID”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui.
Sapna Kabhi Sakar Nahi Hota
Mohabbat Ka Koi Aakar Nahi Hota
Sub Kuch Hojata Hai Is Dunya Mein Magar
Dubara Kisi Se Sacha Pyaar Nahi Hota
Kaise Bhula Dun Main Teri Yaad,
Ab To Mumkin Nahi Bhulana Teri Yaad.
Kabhi The Ham Divana Tere Naam Ke,
Aaj Teri Chahat Ne Kiya Hame Barbad
Kabhi Roke Muskuraye, Kabhi Muskurake Roye
Teri Yaad Jab Bhi Aayee, Tujhe Bhula Bulake Roye
Ek Tera Hi Naam Tha Jise Hazaar Baartha Likha
Jise Khush Hue The Likhkar Use Mita Mitake Roye
Kabhi Na Aaye Mere Saath Chalke..
Hamesha Gaye Muje Barbaad Karke..
Agar Kabhi Aa Jao Meri Mayaat Pe..
To Keh Dena Abhi Soya Hain Tuje Yaad Karke
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,
Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The…
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The…
Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The