Where words fail,
action speaks...
Where action fails,
eyes speaks...
Where eyes fails,
tears speak...
& where every thing fails...
LOVE SPEAKS!
Mere Jindgi Mai Kai Fariyad Aaye
Par Maine Kisi Ko Dil Nhi Diya
Maire Sapno Ke Raja To Tum Ho
Isleye Tumhe Dhadkan Mai Bsa Liya Hun
Har kushi me aapki bat karte hai,
salamat rahe aap ye fariyad karte hai,
par 1 sms se kya btaye hum aapko kitna yaad karte hai
Tamnna se nhi tanhai se darte hai ,
pyar se nahi rusvaey se darte hai,
ha milne ki to bahut chaahat ha
par melan ki judai se darte hai,
Kissi Ko Mohabbat Ki Sachai Maar Dalegi
Kissi Ko Mohabbat Ki Gehrai Maar Dalegi
Kar Ke Mohabbat Koi Nahi Bachega
Aur Jo Bachega Usse Tanhai Maar Dalegi!
Teri palkein jhuki to kamal ho gayi,
Tumne tassavur kiya aur gazal ho gayi,
Mere armano ke badrang tanha makaan,
Teri aahat hui to mahal ho gaye.
Ek muddat se khud ko bachaya tha magar,
Unse nazrein mili aur qatal ho gaye,
Hamne sadiyon kiya jiska intezar,
Woh yun aakar gaye jaise pal ho gaye.
Meri ratoon ko naye humsafar mil gaye,
Chaand tare tere humshakal ho gaye,
Ab na apna pata na kisi ki khabar hai,
Hum bhi deewane se aaj kal ho gaye.
Ashkoan ki barsaat degayee wo jaate jaate,
Aahon ki saughaat degayee wo jaate jaate.
Dil ne chaha tha bhar lenge use baahon me,
Aarzuon ki bouchhar degayee wo jaate jaate.
Badhaya jo khadam maine use chhune ke liye,
Rahao me kanten bikhair gayee wo jaate jaate.
Lada tha maine dunya se jiski khatir,
Hami par waar kargayee to jaate jaate.
Mila woh bhi nahi kerte Mila ham bhi nahi kerte..
Wafa woh bhi nahi kerte Jafa ham bhi nahi kerte..
Unhain ruswai ka dukh hai Hamain tanhai ka gham hai
Gila woh bhi nahi kerte.. Gila ham bhi nahi kerte
Kisi moar per takrao ho jata hai aksar Ruka woh bhi nahi kerte..
Roka ham bhi nahi kerte
ik na ik shamma andhere mein jalaaye rakhiye
subh hone ko hai maahaul banaaye rakhiye
jin ke haathon se hamein zakhm-e-nihaan pahunche hain
vo bhi kahate hain ki zakhmon ko chhupaye rakhiye
kaun jaane ki vo kis raah-guzar se guzare
har guzar-gaah ko phuulon se sajaye rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi nahi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Khuda ne hume aisa banaya hi naiā¦