Humein izhaar karna nahi aaya…
Unhe pyaar karna nahi aaya…
Hum bas dekhte hi reh gaye…
Aur waqt ko thamna nahi aaya…
Woh chalte chalte itne door chale gaye…
Humein rokna bhi nahi aaya…
Har roz koi khuwaab toot jata hai,
Har roz koi apna rooth jata hai,
Na jane meri Qismat main kya hai,
Jise main yaad karon wohi mujhy bhool jata hai…
Tum Na Mile Hote To Mene Raaste Na Badle Hote
Ab Saath Chor Gye Ho
In Anjane Rasto Pe
Ab Me Kidher Jau Ab Me Kidher Jau..?
Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa,
Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa,
Tadapta Hu Is Kadar Bewafayi Me Uski,
Ye Tan Banta Ja Raha Hai Kankaal Jaisa…
Paani Se Tasvir Kahan Banti Hai,
Khwabo Se Takdir Kahan Banti Hai,
Kisi Ko Chaho To Sacche Dil Se,
Knunki Yeh Zindagi Phir Kahan Milti Ha
Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo
Ya Zindagi Ka Faasla Mita Sakoo To Sath Doo
Baray Faraib Khaoo Gay Baray Sitam Uthaoo Gay
Ya Umer Bhur Ka Sath Hai Nibha Sakoo To Sath Doo
Jo Tum Kahoo To Ya Dil To Kia Main Jaan Bhi Fida Karoon
Jo Main Kahoon Bus Ik Nazar Luta Sakoo To Sath Doo
Hazaar Imtyhan , Hazaar Aazmaishain
Hazar Dukh Hazar Ghum Utha Sakoo To Sath Doo
Ya Zindagi Yahan Khushi Ghamoon K Sath Hai
Rula Sakoo To Sath Doo Hunsa Sakoo To Sath Doo
Awaj K Piche Ki Jo Khamoshi Jan Sake
Mere Sukhi Hui Jindgi M Jo Rang Dal Sake
Meri Dikhai Hui Jindagi Dekh K To Sabhi Haste H
Dhund Raha Hu Koi Isa Shaqks Jo Mere Dard Ko B Pehchan Sake
Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyad aaya
dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera vaqt-e-safar yaad aaya
sadagi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
uzr-e-vamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yaad aaya
kya hi rizavan se ladai hogi
ghar tera khuld mein gar yaad aaya
aah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang aake jigar yaad aaya
phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya
koi virani-si-virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
main ne majanun pe ladakapan mein ‘asad'
sang uthaya tha ke sar yaad aaya
Ishq fana ka naam hai ishq mein zindagi na dekh
jalva-e-aftab ban zarre mein roshani na dekh
shauq ko rahnuma bana jo ho chuka kabhi na dekh
aag dabi hui nikal aag bujhi hui na dekh
tujh ko khuda ka vasta tu meri zindagi na dekh
jis ke sahar bhi sham ho us ke siyah shavi na dekh
Zindgi Ki Rah Ma Rasty Badal Jaty Hen
Waqt Ki Andhi Ma Insan Badal Jaty Hen
Sochty Hen Tumhe Itna Yad Na Karen Lekin
Ankh Band Karty He Irady Badal Jaty Hen