Sab Phoolon Ki Juda Kahani Hai
Khamoshi Bhi Toh Pyar Ki Nishaani Hai
Na Koi Zakham Hai, Fir Bhi Aesa Ehsaas Hai
Yun Mahsoos Hota Hai Koi..
Aaj Bhi Dil Ke Paas Hai…
Maine unse pyar kiya,
yeh mere pyar ki had thi.
Maine unpe itabar kiya,
yeh mere itabar ki had thi.
Markar bhi khuli rahi meri aakhen,
yeh mere intizaar ki had thi….
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni taklif kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane…
Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki
Yaad karte hai tumhe tanhai me,
Dil duba hai gamo ki gehrai me,
Hume mat dhundna duniya ki bhid me,
Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me…
Yun to sadmo me bhi hans leta tha mein,
Aaj kyu bewajah rone lage hain hum,
Barson se hatheliyan khali hi rahi meri,
Phir aaj kyu laga sab khone laga hun mein
Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata…
Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun…?
Tanha Rehna To Sikh Liya Humne,
Per Khush Na Kabhi Reh Payenge
Teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil
Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge…
Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai…