Teri ankhon ke nashe mai doob jau..
Teri julfooo ki chao mai khud ko bhul jau..
Teri hoothon ki hasi ko pee loo sanaam…
Aa kareeb mere teri bhaahon mai khud ko bhul jau…
Ankhe ro padhi unka na paigam aaya,
Chale gaye humein akela chhod ke ye kesa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe
Aur boli Bata
Aakhir mere siva tere kon kaam aaya…
Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,
Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge…
Bachpan Key Din Bhi Kitny Achhe Hotey They
Tab Dil Nahi Bas Khiloney Tuta Krte They
Ab Ek Aansoo Girey Toh Saha Nhi Jaata,
Bachpan Mein Toh Dil Bhur Key Royaa Krte They…
Wafa Ka Dariyaa Kabhie Rukta Nahin
Ishq Mein Premi Kabhi Jhukta Nahin
Khamosh Hain Hum Kisi Ke Khushi Ke Liye
Na Socho Ke Hamara Dil Dukhta Nahin!
Mar Kar Tamanna Jeene Ji Kishe Nhi Hoti
Ro Ke Khush Hone Ki Tamanna Kishe Nhi Hoti
Keh Toh Diya K Jee Le Ge Apno Ke Bagair
Par Apno Ki Tamanna Kise Nahi Hoti!
Mein saans rokna chahta tha,
Is nirdayi duniya se door jaana chahta tha,
Kyunki wo har saans me mujhe yaad aati thi,
Par mein aisa kar nahi paaya,
Kyunki ye zindagi bhi to usi ki thi,
Mein use aise hi samapt kaise kar sakta tha…
Aesa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na So Sake
Yun Rulaya Aapne Ke Mehfil Mein Hum Ro Na Sake
Na Jaane Kya Baat Hai Aap Mein Sanam
Mana Hai Jabse Tumhe Apna Kisi Ke Hum Ho Na Sake..
Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti
Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein
Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti…
Nahi tha zor uski sitam nawaziyon ka,
Magar mujhe bhi hosle mere khuda se mile,
Meri amma kyun kehti hai baar baar mujhse,
Wo mohabbat hi kya jo iltija se mile…