Tu kya jane pagli koyal,
Kon mujhe trpata hey,
Jaagi soi ankhoun wala,
Dil main utarta jata hey,
Kitney komal komal chehry,
Meri raah main aay hain,
Lekin wo ik sundar chehra,
sapno main aajata hy,
Uska dard chupa kr dil main,
Ghazlen likhty rehty hain,
Har mosam ka pehla badal,
Uski yad dilata hy,
Baad-e-saba ka har ik jhonka,
Uski yad dilata hy,
Tu kya jane pagli koyal,
Kon mujhe tarpata hy!
Tu Hazaar Baar Bhe Rootha To
Manaa Loon Ga Tujhey...
Aye Ham-dam
Magar Daikh Mohabbaton Men
Meri jaga shamil Koi Doosra Na Ho…!
Mat Pooch Meray Dukhoon Ki
Daastan Meri Zaban Se...
“Ae Ajnabi”
Lafzoon Main Itni Tapish Hai
Suno Gay To JaL Jao Gay..!!
Log Kehty Hain k Tumhari Aankhon
ka Mousam Bahut Dilkash hai...
Usay kya khabar k Barasny k Baad hi
Mousam khush’gwar hua krta hai..!!
Tu Hota Hai To Bikhar Jati Hai
Meri Saari Kainaat...
Faqat Itni Iltija Hai Mujh Se Rootha Na Karo..!!
Awaz Usey Sunai Nahi Deti
Ab To Door Tak Koi Umeed Bi Dikhai Nahi Deti
Ehsas Usey Or Sub Logon Ka Hai
Bus Meri Hi Tanhai Usey Dikhai Nahi Deti..!!!
Log Mujh Se Mil Kar Bichar Jate Hain.
Is Liye Min Logon Se Door Rhta Hon.
Mat Samjho K Aate Nhi Adaab-e-Mulaqat Muje.
Khaloos Ka paikr Hon Aadat Se Majboor Rhta Hon.
Jin Se Brha Mera Rabta Gham Hi Mila.
Ab Rabta Nahi Barhata Bohat Masroof Rehta Hon.
Log Muje Kehte HainBe’Murawat Or Khud Gharz.
Kitne ache Namon seMashoor rehta hon.
Har Waqt khoya Rehta honkhud Ki tlaash me ”
Bohat toot gaya Hon ab ‘APNO’ se door rehta hon…
Tum Aaj Mujhe Ghair Samajhte Ho
Toh Samajho Magar
Jab Matlabi Logo Se Miloge Toh
Tab
Mujhe Hi Yaad Karoge…!!
Dil Ke Zakhmo Ko Unse
Chhupana Pada..
Palke Bheegi Thi Par
Muskuraana Pada..
Kaisi Ulti Hai Pyar Ki Ye
Rasme..
Roothna Chaahte Thay Par
Unko Manaana Pada..!
Waqt ke mod pe aisa waqt aya.
Zakhm dil ka zuban pr aya.
Na rote the hum
kanton ki chubhan se bhi.
Aaj na jane q phulo ki, khusbu se bhi rona aya..