Teri Dunia Me Aisa Din Khushi Ka Baar
Baar Aaye
Koi Mausam Na Badle Jab Kabhi Aaye
Bahaar Aaye
Aye Dost Ye Duaa Meri Tohfa Hai Pyar
Ka
Sau Saal Tak Rahe Ye Zamana Bahaar
Ka...!!
Chahat Ki Arzooen Hamesha Rahen
Jawan
Kismat Bhi Teri Tujh Pe Rahen Yuhi
Meharban
Sukhe Na Koi Phool Kabhi Tere Haar
Ka
Sau Saal Tak Rahe Ye Zamana Bahaar
Ka...!!
Chehra Tera Chamakta Rahe Jaise
Aftaab
Sharmaye Jisko Dekh Ke Kaliyon Ka
Bhi Shabab
Rishta Hai Kya Haseen Mere Aitbar
Ka
Aye Dost Ye Duaa Meri Tohfa Hai Pyar
Ka...)
Aye Dost Baar Baar Mera Dil Tujhe
Kahe
Hazir Hai Jaan Bhi Jo Kisi Kaam Aa
Sake
Armaan Bas Yahi Hai Dil E Bakarar Ka
Sau Saal Tak Rahe Ye Zamana Bahaar
Ka...!!
Ye Rishta Na Tutega Janmo Janam Tak
Judaai Ka Saaya Na Aayega Hum Tak
Kasam Se Karenge Mohabbat Hum Aisi
Kisi Ne Kisi Se Na Kabhi Ki Hogi Jaisi
Hume Raah Phoolon Bhari Mil Gayi Hai
Hume Tum Mile Zindagi Mil Gayi Hai...!!
Pyar Me Bewafaai Mile To Gam Na Karna
Apni Ankhen Kisi Ke Liye Nam Na Karna
Wo Chahe Lakh Badduayein De Nafrat Kare Tumse
Par Tum Apna Pyar Kabhi Uske Liye Kam Na Karna...!!
Jab Yaad Aati Hai Aapki To Muskura Lete Hain
Kuch Pal Ke Liye Gam Bhula Lete Hain
Kaise Bheeg Sakti Hai Aapki Palken
Jab Aapki Hisse Ki Ansoo Hum Baha Lete Hain...!!
Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palken Dilon Me Ulfaat Nayi Nayi Hai
Abhi Takalluff Hai Guftugu Me Abhi Mohabbat Nayi Nayi Hai
Abhi Naa Aayegi Neend Tumko Abhi Naa Tumko Sakoon Milega
Abhi To Dhadkega Dil Zayada Abhi Ye Chahat Nayi Nayi Hai...!!
Bahaar Ka Aaj Pehla Din Hai Jao Chaman Me Tehal Ke Aao
Fizaa Me Khusboo Nayi Nayi Hai Gulon Me Rangat Nayi Nayi Hai
Jo Khandaani Rais Hain Wo Mizaz Rakhte Hain Narm Apna
Tumhara Lehja Bata Raha Hai Tumhari Daulat Nayi Nayi Hai...!!
Zara Sa Kudrat Ne Kya Nawaza Ki Khud Ko Samjhte Ho Shahzada
Abhi Se Udhne Lage Hawa Me Abhi To Shohrat Nayi Nayi Hai
Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palken Dilon Me Ulfaat Nayi Nayi Hai
Abhi Takalluff Hai Guftugu Me Abhi Mohabbat Nayi Nayi Hai...!!