Aankho Me Nami Si Chaayi Hai
Firse Hume Aapki Yaad Sataayi Hai
Ab To Dharkan Ki Bhi Isme Gawaahi Hai
Ki
Aap Ke Bin To Sirf Tanhai Hai..!
Dunia Ki Itni Thokarein Lagi Ki Begane Ho Gaye
Kabi Afsane Likhte Thay Ab Khud Afsane Ho Gaye
Hai Kaisi Ye Uljhan, Hai Kaisi Ye Justuju
Ki
Jo Mil Nahi Sakte Hume Kyu Hai Sirf Unhi Ki Arzoo..!
Na Rakhna Kisi Ko Dil Ke Itne Kareeb
Ki Roothe To Jaise Lage Toota Naseeb
Aap Se Hamara Rishta Bhi Hai Kitna Ajeeb
Ki
Aapke Bin To Jaise Hum Ho Gaye Hain Gareeb..!
Ashko Se Daaman Bhigaya Hum Ne Aapka
Khata Thi Hamari Jo Aapke Pyar Ko Samajh Na Sake
Mohabbat To Aaj Bhi Karte Hain Aap Se
Magar Apni Mohabbat Jata Na Sake..!
Hum Karte Hain Aap Se Pyar
Par Nahi Karenge Izhaar
Qki
Bahut Lambi Hai Ye Deewar
Aap Kar Nahi Paoge Paar
Aur
Hum Dekh Nahi Sakte Aapki Ankho Me Ansuoo Ki Bauchaar..!
Dil To Hoga Par Na Hogi Usme Jaan
Sanse To Hogi Par Na Hoga Armaan
Hum Rahenge Yahi Par Na Hoga Aashiyan
Jab Se Humne Likh Di Hai Ruswai Ki Daastan..!
Chhup Ke Pyar Kar Lena Dunia Se Na Kehna
Warna Is Dunia Me Mushkil Hoga Rehna
Jis Se Pyar Karna Us Se Bhi Na Kehna
Warna
Thukra Jane Ka Gam Mushkil Hoga Sehna..!
Raat Ke Andhere Me Is Dil Ke Ek Kone Me
Nazar Aata Hai Aaj Bhi Wohi Chehra
Is Dil Ko,
Is Jigar Me,
Is Rooh Ko Jo De Jata Hai
Aaj Bhi Har Pal Har Lamha Zakhm Ek Gehra..!
Hum Nahi Kar Sakte Aapko Is Dilse Vida
Umar Bhar Ka Kiya Hai Humne Aap Se Pyar Ka Wada
Jab Tak Jiyenge Pyar Karte Rahenge Aap Se Sada
Chahe Aa Jaye Apne Beech Ab Khuda..!
Mere Khuda Bas Tu Itna Reham Kar
De
Dil Ye Mera Tu Patthar Kar De
Seh Na Payenge Hum Yaar Ki Judai
Uske Rukhsat Se Pehle Mujhko Dafan
Kar De..!