Zindaagi Uski Jiss Ki Mout Pe Zamaana Afsos Karay,
Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Dunia Main Marney Ke Liye!
Chirag Se Na Puchho Baaki Tel Kitna Hai;
Sanso Se Na Pucho Baaki Khel Kitna Hai;
Pucho Us Kafan Mein Lipte Hue Insaan Se;
Zindgi Mein Gum Aur Kafan Mein Sukoon Kitna Hai!
Kabhi Honthon Se Angaare Barsate Rahe;
Kabki Labh Pe Labh Rakhte Gaye;
Iss Hi Tarahein Humne Zindgaani Bita Di;
Kabhi Takraar aur Kabhi Ikraar Karte Karte!
Halaat Ne Tod Diya Mujhe Kache Dhage Ke Tarah;
Warna Mere Wade Bhi Kabhi Zanjeer Hua Karte The!
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye;
Maut Ki Raah Pe Khade Hai Par Kambakt Jeena Seekh Gaye;
Ab To Is Zindgi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai;
Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye!
Har Lamha Apke Hothon Pe Muskan Rahe;
Har Gum Se Aap Anjaan Rahen;
Jiske Sath Mehak Uthe Aapki Zindgi;
Hamsha Aapke Pass Woh Insan Rahe!
Waqt Leta Hai Karvate Na Jaane Kaise Kaise;
Umar Itni toh Nahi Thi Jitne Sabak Seekh Liye Hamne!
Har Waqt Milti Rahti Hain Anjani Si Saza Mujhe;
Main Kaise Poochun Taqdeer Se Mera Qasoor Kya Hai!
Andhere Ke Humsafar Ko Koi Yaad Nahi Kartaa;
Subah Hote Hi Chiraagon Ko Bujha Dete Hain Sab Log!
Chaaha Hai Tujhko Tere Taghaful Ke Bawajood;
Aye Zindagi Tu Bhi Yaad Karegi Kabhi Humein!