Yoon Hi Lakeer Khurchte Hain Apni Qismat Ki;
Warna Unki Hatheli Mein Darj Hi Kya Hai;
Kuch Is Liye Bhi Wo Aankhon Ko Band Rakhte Hain;
Ke Khawaab Dekhte Rehne Men Harj Hi Kiya Hai!
Raaste Mein Pattharon Ki Kami Nahi Hai;
Mann Mein Toote Sapno Ki Kami Nahi Hai;
Chaahat Hai Unko Apna Banana Ki Magar;
Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hai!
Tanhai Toh Hai Saathi Apni,
Zindagi Ke Har Ek Pal Ki
Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa,
Ke Kisi Ne Saath Na Diya!
Na Murawat,
Na Mohabbat,
Na Khuloos Hain
Main Toh Sharminda Hun Iss Daur Ka Insaan Hokar!
Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain;
Yeh Aakhri Shama Bhi Bhujane Ke Liye Aa!
Hai Zindagi Mana Dard Bhari;
Phir Bhi Isme Ye Raahat Bhi Hai;
Main Hoon Tera Aur Tu Hai Meri;
Yunhi Rahe Hum, Ye Chahat Bhi Hai!
Kuchh Iss Tarah Se Thukraya Zindaagi Ne Humein;
Abb Har Khushi Se Jaise Nafrat See Ho Gayi;
Dil Se Unhe Humne Kab Ka Nikaal Diya;
Abb Inn Saanso Mein Unki Khusbu Si Rah Gayi!
Yeh Dastoor-e-Zindaagi To Dekho;
Ishq-E-Bukhar Hum Ko Tha;
Lekin Hakim-E-Dawa Kissi Aur Ke Naseeb Mein Thi!
Gam-e-Zindagi Ke Maare Hain;
Har Baazi Jeet Ke Haare Hain;
Yeh Jo Meri Jholi Mein Pathar Hain;
Sab Mere Chahne Walon Ne Marey Hain!
Uske Chale Jaane Ke Baad;
Hum Mohabbat Nahi Karte Kisi Se;
Ek Choti Si Zindagi Hai;
Kis-Kis Ko Aazmate Rahenge!