Ya Rab! Dil-E-Muslim Ko Woh Zinda Tammanaa De;
Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpaa De!
Kab Tak Pyaar Ke Ek Pal Ka Intzaar Karna Hoga;
Kab Tak Iss Intzaar Ki Aag Mein Yunhi Jalna Hoga;
Mere Dil Se Abb Sabar Aur Na Hoga;
Akhir Kab Tak Tumhare Saath Ek Pal Jeene Ke Liye;
Mujhe Yunhi Pal Pal Marna Hoga!
Aankhon Mein Basi Hai Pyaari Soorat Teri;
Aur Dil Mein Basa Hai Tera Pyaar;
Chahe Tu Kabool Kare Ya Na Kare;
Humein Rahega Tera Intezaar!
Kaun Meri Chahat Ka Fasaana Samjhega Iss Daur Mein;
Yahan To Log Apni Zaroorat Ko Mohabbat Kehte Hain!
Khuda Humko Kabhi Aissi Judai Na De;
Unki Yaadon Se Humko Rihai Na De;
Dua Karna Dosto, Mujhe Aisi Jannat Na Mile;
Jahan Se Mera Yaar Mujhe Dikhai Na De!
Meri Ibaadaton Ko Aise Qubool Ker, Ae Mere Maalik;
Ke Sajde Mein Main Sar Jhukaun;
Toh Mujh Se Judda Har Rishton Ki Zindaagi Sawar Jaye!
Na Main Pass Usko Bula Saka;
Na Main Dil Ki Baat Suna Saka;
Wo Hansi-Hansi Main Hi Chal Diye;
Aur Main Haath Tak Na Hila Saka!
Hai Kismat Hamari Aasman Mein Chamakte Sitaare Jaisi;
Log Apni Tammana Ke Liye Hamarey Tutne Ka Intezaar Karte Hain!
Mere Dil Ki Khawaishen Reh Reh Kar Poochengee Ek Din Uss Se;
Kis Ko Aabad Kiya Hai Mujh Ko Barbaad Kar Ke!
Shayad Koi Tarash Kar Kismat Sawaar De:
Yeh Soch Kar Hum Umar Bhar Pathar Baney Rahe!