Taras Gayi Hain Nigahen Wo Nazar Toh Aa Jaye
Mujhe Na Mile Meri Taraf Toh Aa Jaye
Main Us Ki Yaad Ko Dil Se Nikal Dun Lekin
Kisi Tarha Mujhe Ye Hunar Toh Aa Jaye
Ek Adat Si Ho Gai Hai Chot KhaNe Ki
BheeGi Hoi Palkin K Sang Muskurane Ki
Kash Anjaam-e-Wafa Hum Pehle Hi Jante
To “KOSHISH” Bhi Na KaRte Dil LaGane Ki
Woh Meri Dunia Tha
Lekin Kismat Me Nahi Tha
Kash
Ki Wo Mera Kuch Na Hota
Bus Meri Kismat Me Hota.
Hum Ko Mohlat Na Mili
Warna Zehar Ka Zaiqa Batate Hum
Tere Ishq Ne Khoon K Ansu Rulaye
Warna, Dil Lagi k Badshah Thay Hum
Aa Jaa K Abhi Zabt Ka Mosam Naheen Guzraa
Aa Jaa Ke Paharoon Pey Abhi Barf Jami Hay
Khushbo K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak
Is Shehr Me Sab Kuch He, Faqat Teri Kami He
Bhar Aai Meri Aankhain Jab Us Ka Naam Aya
Ishq Nakaam Sahi Phr Bhi Bohat Kaam Aya
Hamne Muhabbat Mein Aisi Bhi Guzaari Raatein
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Na Araam Aya
Ager Wo Apni Muhabbat Humain Bana Lain
Hum Unka Har Khawab Apni Palkon Pe Saja Lain
Karegi Kesay Maut Humain Us Say Juda
Agar Wo Humain Apni Roh Mein Basa Lay
Jis Ki Arzo Thi Usi Ka Hi Payar Na Mila
Barso Jiska Intezar Kia Usi Ka Hi Sath Na Mila
Ajib Khel Hai Yeh Muhabbat Ka
Kisi Ko Hum Na Mile Or Koi Hume Na Mila
Kuch Waqt Pehlay Mujhe B Zindagi Ne Azmaya Tha
Kisi K Saath Mein Nay B Hasta Hua Pal Bitaya Tha
Roota Hua Chor Gaye to Kia Hua
Hasna B To Usi Nay Sikhaya Tha
Mein Kese Larun “Muqadma” Khud Say
Us Ki Bewafai Ka
Yeh Dil Bhi “Vakeel” Us Ka Yeh “Jaan”
Bhi Gawah Us Ka