Aakhein kholu toh chehra tumhara ho
Band karu toh sapna tumhara ho,
Maar bhi jau toh koyi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho.
Tu lafzon ki tarha mujh se kitabon mein mila kar,
Logon ka tujhe dar hai tu khawabon mein mila kar
Phool ka khushboo se taluk hain zaruri,
Tu mehak ban kar mujh se gulabon mein mila kar
Jise chhu kar main mehsoos kar saku,
Tu masti ki tarha mujh se sharabon mein mila kar
Main bhi insan hu, hai dar mujhko bhi behakne ka
Is waaste tu mujh se hijabon mein mila kar….!!!
Tere haath ki main wo lakeer ban jaun,
Sirf main hi tera muqadar teri taqdeer ban jaun,
Main tujhe itna chaho k tu bhool jaye har rishta
Sirf main hi tere har rishte ki tasveer ban jaun,
Tu ankhein band kare to aaun main hi nazar,
Is tarha main tere har khawab ki tabeer ban jau.
Kabhi Jeeta Tha Mera Kaatil Bhi,
Meri Aashiqui Ki Umeed Mein,
Aaj Mera Dil B Meri Zindagi K Liye
Kahan Dhadakta Hai..
Kya Hoti Hain Bewafai
Yeh Toh Maloom Na Tha,
Aaj Zarra Zarra Mera
Mohabbat Ke Liye Tadapta Hain.
Rulaya Hain Usne Mujhey
Har Roj Apni Mohabbat Mein
Fir B Dil Usse Liptne Ko Tadapta Hai
Paas aa zara dil ki baat btaun tujhko,
Kese dharkta ha dil awaz sunau tujhko,
Aakar tu dekh le dil pe likha h nam tera
Agr kahe to dil cheer ke dikhaun tujko.
Jitna jalaya hai tune pyar me mujhko,
Dil to krta hai mein b jalaun tujhko
Ajnabi hota toh aisa kar bhi lete,
Mgr tum to apne ho kese sataun tujhko.
Kash woh samjhte is dil ki tadap ko
To yun humein ruswa na kiya hota
Unki ye berukhi bhi manzoor thi hme
Bas ek baar humein samjh liya hota..!
Mohabbat ki daastan sunane aaye hain,
Tabaah krne k bad wo pyar jatane aye hai
Aansu pochh liye the hamnein kab ke
Magar wo fir se aaj hume rulane aaye hai.
Kabhi hum pe wo jan diya karte the,
Jo hum kehte the wo maan liya karte the,
Aaj pas se anjaan banke guzar gaye,
Jo dur se hume pehchan liya kerte the..!!
Sab kehte he pyar andha Hota he,
sab kehte he sach kehte he,
aakhn to tab khulti he jab dhoka milta he..
koi mere Dil ko samjhao, aakhon se paani rukta hi Nahi he..