Main lafjo se kuch ijehar nahi karta,
Par yah nahi ki usse pyar nahi karta,
Chahta to aaj bhi use utna hi,
Magar uski soch me waqt barbaad nahi karta.
Jaan ki baazi laga di judai bankar,
Dil hatheli par le aaya pujari bankar,
Jis din teri mandir ke duar khulenge,
Tujhi se tujhi ko mang loonga bhikhari bankar.
Intejar rahta hai har sham apka,
Raate kat ti nahi lekar name apka,
Muddat se soye nahi ye aas lagaye,
Ki aaj ayega phon apk
Jis pal tum dil se muskuraoge,
Apni hansi me meri jhalak paoge,
Na samajhna ke sath chhod diya humne,
Mudkar dekho har rah par mujhe hi apne sath paoge.
koshish karo ke koi tum se na roothe,
zindagi mein apno ka saath na choote,
rishta koi bhi ho usey aise nibhao,
ke uss rishtey ki dor zindagi bhar na toote
kitna babas hai insaan kismat ke aage
kitna door hai sapne haqiqat ke aage
koi ruki dhadkan se puch kitna tadapta hai dil
mohabbat ke aage
Haqiqat kaho to unko khwab lagta hai,
Shikayat karo to unko mazak lagta hai.
Kitni siddat se unhe yaad krte hai hum,
Or ek woh hai jinhe ye sab ittefak lagta hai
Yaad aati hai satane ke liye,
Koi rulata hai phir maan jane ke liye,
Jaan bhi chali jati hai,
Nibhane ke liye.
Tamam gamo ko bhul jane ko ji karta hai,
Ab ek baar muskurane ko ji karta hai,
Bahut jiya yaadon ke sahare,
Ab apke paas aane ko ji karta hai.
Har ahaat ehsaas humara dilayegi,
Hawa kissa humara sunayegi,
Aapke dil me itni yaade chhod jayenge,
Na chahte hue bhi apko yaad humari aayegi.